Lafzon Ki Jaddugari |
Lafzon Ki Jadugari
Agar mujh ko Aati
Tou Tum Aur Woh
Mere aseer e Mohabbat hote
Gar lafzon APNA asar rakhte tou
Tum AUR Woh
Mujhe skikasta deewar Ke
Saaye tale dafn
Kar Ke chale na jaate
Yeh kia hua Ke Zindagi
Mojood hai iss boseeda
badan mein
Tou aur Woh
Kuyn chor aaye iss awara thaki
Rooh ko uss jism mein
Yeh jaan aur Jahan hi tou sab se
Barh kar azaab hai
Suna hai hum jaise benaam log
Uss Jahan mein bhi tole
Parkhe aur imtihaan gah mein
Hisaab denge
Kuch jism jalaye jayenge
Jo roohrin sokhta hongi
Unn ko aur garm bhatti mein
Jalaya jayega....
Kia Kuch gunah
Zindagi Ke Shuru hone
Se pehle likh liye jaate Hain
Hisaab kia unn ka inn ka
Sab ka hoga
To Tum AUR Woh
Kahan paaye jayenge
Sood o ziyan ka Mera hisaab
Kia wahan khola jayega
Tum AUR Woh Meri faryaad par
Uss aag kj bhatti mein
jalaaye jayenge...!!